खुदा हमको ऐसी खुदाई ना दे
के अपने सिवा कुछ दिखाई ना दे
खतावार समझेगी दुनिया तुझे
के इतनी ज़ियादा सफाई ना दे
हंसो आज इतना के इस शोर में
सदा सिसकियों की सुनाई ना दे
अभी तो बदन में लहू है बहुत
कलम छीन ले रोशनाई ना दे
खुदा ऐसे एहसास का नाम है
रहे सामने और दिखायी ना दे
Khuda hum ko aisi khudai na de
ki apne siva kuch dikhai na de
khatavar samajhegi duniya tujhe
ab itni bhi zyada safai na de
hanso aj itna ki is shor mein
sada sisakiyon ke sunai na de
mujhe apni chadar se yun dhaanp lo
zamin aasaman kuch dikhai na de
gulami ko barakat samajhane lagen
asiron ko aisi rihai na de
mujhe aisi jannat nahi chahiye
jahan se madina dikhai na de
main ashkon se nam-e-muhammad likhun
qalam cheen le roshnai na de
abhi to badan mein lahu hai bahut
qalam cheen le roshanai na de
khuda aise irfan ka naam hai
rahe saamne aur dikhai na de...
No comments:
Post a Comment